Surinder Rajpal India Author Individual

Tuesday, 9 October 2012

Never Stop Loving(Shayri)

Never stop loving
Ek pal to mujhe dekh ke sharmayi thi aankhe
aankhon se gujarta huwa muskaan ka saaya
shayad meri khamoshe ne hai keh diya tumse
wo raaj jo mai tumse kabhi keh nahi paaya
 
kal kya hoga, ye mt socho
tum ye dekho ke sham ke daaman me kya hai
madham madham si roshaniyo me
dhun pe machalate jismo par halki si damak
lehraati huyi sunder baahe, balkhaati huyi resham julfe
yeh ang ang yeh jhalak jhalak, shisho ki khanak
shishon ko chhute naajuk labj, jin me shaam ki surkhee hai
hirani si vaishi aankhon me, anjaane se paigaam base
ye dekh ke in ko behake toh iljaam kise
inn lamho ke pyaalo me jitni masti hai
saari ki saari tum pee lo, iss sham ko jee bhar ke ji lo
kal jo bhi hoga dekhenge
 
mujhko teri aawaaj se khushbu aati hai
or khushbu me rang dikhayi dete hai
tu jab nahi hai, tab bhi tu hai saath mere
milon se chhute hai tujhako haath mere
woh jo teri saanso me hai ghule huye
kahi raho woh geet sunayi dete hai
baadal titalee kaliya lehare phul hawa
yeh sab tere rup dikhayi dete hain
mai hu tera naam hain, teri baate hain
har pal dohraata tera afsaana hu
mujhko toh abb hosh nahi hain
tu hi bata sab kehte hain mai teraa divaana hu 
 

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More